Jeevan ki is afaratafari me...

JEEVAN KI IS AFARATAFARI ME,
MAI KABHI APNE ATEET K BARE ME SOCHTA HUN,
KABHI WO KHUSHNUMA PAL YAAD AATE HAIN,
TO KABHI KUCHH KHATTI YADEIN BHI TADPA JAATI HAI.
JEEVAN K KUCHH HASEEN PAL YAAD AATE HAI...

WO PAPA KA DANTNA ,WO MUMMY KA DULAR,
WO LADNA JHAGADNA, WO BAHANO KA PYAR.
SCHOOL ME ACHHE NO. PANE PAR KHUSHI SE JHOOM JAANA
WO PAPA KA KHUSHI SE PHOOLA NA SAMANA.

WO PYARE SE DOSTO SE COMPETITION KARNA,
LADNA JHAGADANA MASTIYAN KARNA,
LADKIYO KE OOPAR COMMENT KARNA
DOSTO KO CHANE KI JHAD PE CHADHANA,
JHAD PE CHADHA K PROPOSE MARWANA .
PHIR EK DUSARE K MAJE UDANA.
ROZ KISI NAYI LADKI KE SAPNE BANANA,
BUT SAMNE PAHUNCH K AAWAZ NA NIKALNA.

SOCHA KARTE THE KI COLLEGE SE NIKAL K ASMAN CHHU LENGE
JO NAHI MILA USE CHHEEN LENGE
DUNIA K AAGE GHUTNE NAHI TEKENGE.

LEKIN LEKIN LEKIN.......
AAJ MILA TO BAHUT KUCHH, KUCHH PANA ABHI BAKI HAI
LEKIN JAB BHI KABHI IN ACHIEVEMENTS KO EVALUATE KARTA HUN,
SALARY CHHOTI PAD JATI HAI POCKET MONEY K AAGE
LOG KAHTE TO HAIN KI WO PYAR KARTE HAIN BAHUT,
LEKIN SAB JHOOTA LAGTA HAI, UN MASOOM AANKHO AUR MUSKAN K AAGE.

JEEVAN KI AFARATAFARI ME PATA NAHI KUCHH GAYAB SA HO GAYA HAI,
KUCHH PANE KI LALAK ME MASOOMIYAT KA DOOR DOOR TAK PATA NAHI HAI,
BAS EK HI BAAT YAAD HAI,
KUCHH BHI KARKE KISI BHI TARAH SE,BAS AAGE BADHNA HAI,
DUNIYA KO DIKHANA HAI,SABSE JEETNA HAI,ABHI BAHUT KUCHH PANA HAI.

LEKIN IS HOD ME HAMNE KYA KYA KHOYA HAI,
SHAYAD ISKA KOI JAWAB NAHI HAI,
AAJ PHURSAT K DIN JAB YE SOCHTA HUN,
TO MAHSOOS HOTA HAI USKA KOI HISAB NAHI HAI.




bhupendra tiwari
8808488938

Comments

Post a Comment